World Aids Day Ki Puri Jankaari

World aids day har saal pure vishw mein 1 december ko manaya jata hai. iss din AIDS (Acquired Immuno Deficiency Syndrome) ke baare mein logon ko jagruk karne ke liye manaya jata hai. AIDS Human immunodeficiency virus (HIV) ke snkraman ke dwara hone wala khatarnak mahamari wala rog hai. Iss snkarman ke rog ko log ko jagruk karne ke liye iss din sarkari sangathan, gair sarkari sangathan, samajik sansthan aur anya swashthya adhikari manate hain aur iss visay mein charcha ki jati hai.

world aids day ki puri jankari

World Aids Day Ki Puri Jankaari:

Jems w Bun aur Thomas Netar ne sabse pehale August 1987 mein  iss diwas ko manaya tha. Inhone vishw swathya sangathan mein Aids par globle karkarm ke liye adhikariyo ke roop mein duniya bhar mein Aids ke karan, roktham, niyantran aur ttyon par duniya ko shikshit karne ka bada kayakarm chalaya.

USA ke rastrapati ne saal 1 December 1995 mein vishw Aids diwas ke liye adhikarik ghosna ki jiska palan duniya bhar mein sabhi deshon ne kiya.

Duniya mein Ab Tak HIV/Aids ke snkraman se Prabhabit huye Logon ki jankari:

Anumanit ganana ke anusaar puri duniya mein saal 1981 se 2007 ke bich lagabhag 25 se 30 million logon ki maut HIV infation ke karan hui thi jis mein jyadatar mautein bachchon ki hui thi.  Halaki Antiretroviral upchar ke liye ek jagrukta pure duniya mein jari hai. magar abhi bhi Aids mahamari se 270000 bachche sahit har saal 2 lakh logo ko prabhabit kar raha hai.

Vishw Aids Diwas ke bishay(theme) / Vishw Aids Diwas ke karekamo ki jankari

Vishw Aids diwas aviyan ke liye vishyon ka chyan WHO, UNAIDS (HIV aur Aids Par Snyukt Rastra Karekram) dwara roktham aur HIV Aids ke bare mein jagrukta failane ke liye kai ajenciyan samil hain Yah 2008 se shuru har saal, vishw Aids aviyan (WAC) ki wyeshvik samiti dwara vishy (theme) ka chyan kiya jata hai.

Vishw Aids diwas ke sabhi Warsh ke Vishay ki list/ Vishw Aids Diwas Theme List:

(1)Varsh 1988 mein Aids diwas karykram ka Vishay (Theme) Sanchar tha.

(2)Saal 1989 ka vishw Aids diwas aviyan ka vihay /theme tha “Yuva”

(3) Vishw Aids diwas ke karyakram ke liye varsh 1990 ka vishy/theme Mahilayein aur Aids tha.

(4) 1991 ka Vishay/theme “Chunauti Sajha Karna tha.

(5) 1992 ka Vishay/theme “Samuday ke prati Pratibadhta” tha.

(6) 1993 ka Vishay/theme “Abhiyan” tha

(7) 1994 ka Vishay/theme “Aids aur Parivar” tha.

(8) 1995 ka Vishay/theme “ Sajha Adhikar, Sajha Daitwa tha.

(9) 1996 ka Vishay/theme “ Ek Vishw Aur Ek Asha” tha.

(10) 1997 ka Vishay/theme tha Bachche Aids Ki Ek Duniya Mein Rate Hain”

(11) 1998 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Parivartan ke liye varsh Shakti: Vishw Aids Aviyan yuva Logon ke sath”

(12) 1999 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Jaane, Sune, Rahein: Bachche aur yuva logon ke sath vishw aids aviyaan”

(13) 2000 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Aids: Log antar banate hain”

(14) 2001 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Main dekh-bhal karti/karta hoon. Kya aap karte hain”

(15) 2002 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Kalank aur Bhedbhav”

(16) 2003 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Kalank aur Bhedbhav”

(17) 2004 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Mahilayein, Ladkiyan, HIV aur Aids”

(18) 2005 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Aids Roko: Wada Karo”

(19) 2006 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Aids Roko: Wada Karo Jababdehi”

(20) 2007 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Aids Roko: Wada Karo Netaritw”

(21) 2008 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Aids Roko: Wada Karo Netaritw sashkt udhar”

(22) 2009 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Vishwvayapi Pahuch aur manvadhikar”

(23) 2010 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Vishwvayapi Pahuch aur manvadhikar”

(24) 2011 se 2015 tak ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “Shuny prapt karna: Naye HIV Sankarman Shuny, Shuny Bhedbhav, Shuny Aids se sambandhit Mautein”

(25) 2016 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “HIV roktham ke liye hath upar karein”

(26) 2017 ka Vishw aids diwas Vishay/theme tha “My Health, My Right”

(27) 2018 ka Vishw aids diwas Vishay/theme hai “Know Your Status”

Aids Hone ke lakshan ki Jankari:

     (1) Maanspeshiyon Mein Dard

(   (2) Jodon ka Dard

(   (3) Gale mein Kharash

    (4) Thakan

    (5) Wajan Ghatna

(   (6) Bukhar

(   (7) Badhi Hui Granthiyan

(   (8) Thand Lagna

(   (9) Durbalta

    (10) Laat chakte

(11) Raat ke Dauran Pasina

HIV, Aids ke Roktham aur Niyantran:

Vishw star par HIV/Aids ke liye roktham aur niyantran ke upayon ko badhane ke liye sadasay deshon ka margdarshn,

Sadashya deshon ko roktham ki yojana lagu karne, dekhrekh karne ke sath hi sath HIV/Aids ke ilaj, parikshan, sti niyantaran aur Antiretroviral therapy ke liye takniki sahayata upalabhdh karana.

Logon ko unn Antiretroviral dawaon ya anya bastuon ke baare mein jagruk karna jo HIV/Aids ke khilaf ladne mein madad kar sakte hain.

Sabse prabhavi parinaam prapt karne ke liye abhiyan mein smmanit smuhon ko shamil karna.

Aids ke liye aayojit pratiyogitaon mein yogdan karne ke liye schoolon, vishvidalay aur samajik sangathan se adhik chhatron ko protsahit karna.

HIV/Aids ke sankramit rogiyon ko snkhaya ko niyantaran karne ke sath dharmik samuhon ko condoms ke liye protsahit karna.

HIV/Aids hone ke karan:

(1) Aids se bachaw ke liye samanya vyakti ko HIV snkaramit vyakti ke viray, yoni srav rakt ke sampark mein aane se bachna chahiye. Sath hi sath Aids se bachw ke liye niche diye agye savdhani baratni chahiy.

(2) Iss rog se grasit sathi ya vyakti ke sath yon sambandh sthapit nahi karni chahiye, agar kar rahe hon to savdhanipurbak condom ka prayog karna chahiye. Magar condom istemal karne mein bhi condom ke fatne ka khtra rahta hai.

(3) Apne jivansathi ke prati wafadar rahein, ek se adhik vayakti se yon sambandh naa rakhein

(4) Khoon ko acchi tarah jaanchkar hi use chadhana chahiye. Kai baar bina janch ke khoon marij ko Chadha diya jata hai jo bahut hi galat hai. isliye doctor ko khoon chadhane se pehale pata karna chahiye ki kahi blood HIV dusit to nahi hai.

(5) Upayog ki hui suion ya injection ka prayog nahi karna chahiye kyonki ye HIV sankrmit ho skti hain.

(6) Dhadi banwate samay hamesha naai se nya bled upayog karne ke liye kahna chahiye.

(7) Aids se judi jhuthi apwahon par dhyan nahi dena chahiye.

(8) Aids ke baare mein samaj mein kuch mith bhi logon ke bich dekhe jate hain. Lekin sabse dhyan dene wali baat ye hainki Aids hath milane, gale lagane, samne chhinkane, bina kati twacha ko chhune ya ek hi sonchalay ke upayog karne par kabhi nahi failta hai.

(9) Yadi kisi ko ya aaspaas koi HIV Positive ho to uchit janch ke sath dawa ka sevan karein aur apna aur apne sathi ka khas kyal rakhein Aids ke sath bhi lamba jivan jiya ja sakta hai.