WhatsApp Upcoming Features 2019
WhatsApp ye saal users ke liye naye feature lane wala hai. isme kai feature iOS ke liye pehale hi lunch ho chuke hain. Par abhi aise kai feature hain jo android aur iOS dono device ke liye lunch hone wale hain. Aaiye jante hain kuch aise hi feature jo aane wale waqt mein WhatsApp mein judne wale hain. Jankari ke liye bata dein ki iss waqt duniya bhar mein takriban 130 crore WhatApp users hain inn users mein se 20 crore active users bharat mein hain.
Group Invitation in WhatsApp
WhatsApp ke group invitation feature pehle se hi app mein maujud hai magar isko aur behatar banaya gaya hai. aane wale waqt mein jab update kiya jayega to issme latest feature ko add kiya jayega. Iske naye feature me WhatsApp group invitation ke liye kisi bhi users ko kisi bhi group mein add karne ke liye anumati lena padega. Bina anumati ke aap kisi bhi member ko group mein nahi jod sakeinge. Iss feature ka beta version kuch hi dino ke andar iOS ke liye rol out kiya jayega.
WhatsApp Dark Mode
WhatsApp ke sabse zyada charcha mein rahne wale iss feature ko beta version mein dekha gaya hai. Iss feature ko jald hi android aur iOS ke liye roll out kiya jayega.
WhatsApp Fingerprint Lock
Fingerprint feature ko iOS ke liye pehle hi laya ja chukka hai. WhatsApp ke liye iss feature ko jald hi android ke liye roll out kiya jayega. WhatsApp ke iss naye feature me users apne personal chats ko biometric lock ke jariye secure kar payenge.
Show in chat
Iss feature ke add hone ke baad kisi bhi shear koye gaye image ke mool aadmi ko aap dekh payenge. Yadi aapko kisi ne koi image forward kiya hai ton aapko isko sabse pehle bhejane wale user ke baare mein pata chal jayega.
WhatsApp Status
Iss pehle maujud feature mein badlaw sambhaw hai. iss feature ke roll out ho jane ke baad se aapko WhatsApp status mein badlaw dikhega. Jo users ke sath aap lagatar baat karte hai unka status aapko sabsse pehle dikhega.
WhatsApp Audio Message
WhatsApp ke iss purane feature ko phir se naye roop mein design koya gaya hai. Iss feature ke add ho jane se users kisi bhi audio file ko bhejne se pehle review kar payenge. Users isse ek baar mein zyada se zyada 30 audio files ko bhej payenge.
Voice Message
Voice message ke dawara aap kisi bhi users ko lagatar voice message order mein bhej sakenge. Isske sath hi har voice message ko sunne ke liye aapko har baar play botton par tap nahi karna padega. Pehla message play hone ke baad lagatar order mein bheje gaye message ko aap bina play kiye hi sun payenge.