Whatsapp Sticker Maker | Apne Photo Ko Whatsapp sticker Mein Badle

Whatsapp sticker Maker

Whatsapp Sticker Maker | Apne Photo Ko Whatsapp sticker Mein Badle

Whatsapp ne pichhle mahine apne sticker feature ko users ke liye available kar diya hai aur app ke sath kai saare sticker pack pesh kiya hai. sticker pack ke baare mein jankari ke liye 12 sticker lunch kiye hain.

Pahla lunch ke rup mein adhikansh sticker pack facebook messenger par pehale se hi upalabadh hain. Lekin iss feature ke bare mein acchi baat yah hai ki agar aap android smartphone user hain, to aap aasani se naye sticker pack bana sakte hain aur unhein apne whatsapp mein jod sakte hain.
Iske alawa kai android developer google play store par sticker pack app lunch kar rahe hain. Ye app kai saare sticker ke sath aate hain jinhein users whatsapp se jod sakte hain. Adhikatar developer gradual updates ke sath apne app mein adhik sticker pack jodte rahte hain. Halanki kuch developer play store par app bhi post kar rahe hain jo users ko apne smartphone par sticker ke rup mein image ko badalne ki anumati dete hain. Ismein unn image ho sakti hain jo memory card mein ho ya selfie jo smartphone ke camera se capture kiya gaya ho.
Android par sticker banana ke liye sabse popular app hai Sticker Studio jisko Sven van der zee dwara vikasit kiya gaya hai. yah free app aapko snap karne ya image ko import kar sakte hain. Iske dwara users jiss bhi photo ko sticker banana chahte hain uss photo mein chron ore ghera khinchna hota hai aur stiker taiyar. Yah app suru mein limit ke sath launch kiya gaya tha baad mein sabhi limits hata di gayi hain. Yah naya sticker banane ka sabse aasan tarika hai.

App pehle kuch anumati mangta hai, aapko unmein se ek pack ko whatsapp mein export karne se pehale kam se kam teen sticker banana ko avashyakta hogi. App mein adhikatar 30 sticker prati pack ke sth 10 sticker pack ki sima hai. issi trah ke aur bhi app upalabadh hai jaise Sticker Maker, Personal Sticker jisse aap sayam apna manpasnd sticker bana sakte hain.

Amitesh Raj

नमस्कार दोस्तों, मैं Mr. Amitesh Bedia, Hintwebs वेबसाइट का ओनर और ऑथर भी हूँ, मुझे किसी भी तरह की जानकारी साझा करना बहुत अच्छा लगता है, चाहे वो टेक्नोलॉजी से जुड़ी हो या नॉलेज की बातें या फिर इन्टरनेट से जुड़ी कोई बात हो सिखने और दूसरों को इसे जुड़ी समस्याओं को दूर करना ही मेरा लक्ष्य है.