Voter Id Card Correction Details Information
Har kisi ko loktantrik pakriya aur matdaan mein bhag lena chahiye, aur yah karne ko prakiya bahut aasan hai. sabhi logon ko ek matdata pahachan patra(Voter ID Card) ki aavashyakta hoti hai aur unka naam matdata suchi mein hona chahiye. Aap aasani se matdata pahchan patra ke liye online aavedan kar sakte hain, aavedan ki sthiti dekh sakte hain, aur aasani se janch skate hain ki aapka naam bharat mein matdata suchi mein hai ya nahi. Uske baad prakriya puri ho jati hai aur aapke hath mein aapka Voter ID Card hota hai.
Aksar aisa hota hai ki aapka Voter ID card mein vivaran galat aata hai jaise naam galat hona, pata alag jagah ka hona ya Voter Id mein aapka naam darz ho magar photo kisi aur ka laga hona ityadi. Iss tarah ki galti ko sudarne ke liye aapko aavedan karna hoga. Acchi baat yah hai ki matdata pahchan patra sudar karna ke liye online aavedan kana sambhav hai.
Aaiye jante hain Voter ID card online sudar ke liye aavedan kaise karein. Ek baar yadi aap Voter ID card online sudar ke liye daal dete hain to aap apne aavedan ki sthiti ko online track kar sakte hain.
how to apply for voter ID correction online / Matadata pahchan patra sudhar ke liye online aavedan kaise karein?
1 Rashtriya matdata seva portal NVSP ki website par jaayein, matdata suchi mein sudhar ke option par click karein. Vaikalpik rup se aap sidhe NVSP form 8 pege par ja sakte hain.
2 upar ki drop down menu ke madhayam se apni bhasha ka chayan karein aur apne rajya aur vidhansabha ya sansdiya nirvachan kshetra aadi jankari ko bhar dein.
3 ab dusre section par jayen aur jis bhi chiz ka sudhar karna hai uss par tik karein
4 Ek baar jab aap in vikalp par tik karte hain, to sambandhit fild gre se safed rang mein badal jayegi aur aap sambandhit vivaran bhar sakte hain ya upload kar sakte hain.
5 ab shesh form ko bataye anusaar bharein aur apne vyaktigat vivaran jaose email ID aur mobile number ko avashya bharein.
Ek baar yah pura hone ke baad page ke niche bhag mein submit ke buttam par click karein.
Ab aapka aavedan ke vivaran ke sath ek email prapt hoga. Aap apne matdata pahachan patra ki sthiti ko track karne ke liye inn vivarano ka upayog kar sakte hain.
Niche matdata pahachan patra sudhar ke baare mein kuch samanya sawalon ke uttar diye gaye hain.
Where do I apply for voter ID correction? / Main matdata pahachan patra sudhar ke liye kahan aavedan karun?
Iss prakriya ko upar varnit kiya gaya hai. aapko bas form bharne aur form ko NVSP website ke madhyam se online jama karna hoga. Aap iss form ko print bhi kar sakte hain aur isse apne nikatatam nirvachan karyalay mein jama kar sakte hain.
Which documents do I need to submit for voter ID correction? / Matdata pahachan patra sudar ke liye mujhe kaun se dastavej jama kane honge ?
Madata pahachan patra sudar ke datavej sahi hone ki jankari par nirbhar karte hain, udaharn ke liye, yadi aapka Photo galat hai, to aapko sahi Photo jama karna hoga. Yadi aapka naam galat likha gaya hai, to aap janam praman patra, pan card, passport, ya anya vaid dastavejon ki puri suchi yahan pa sakte hain.
How long will it take to get my voter ID after it is updated? / Update hone ke baad meri voter ID prapt kane mein kitna samay lagega?
Aap update ki gayi jakari ke sath naya voter ID card prapt karne mein lagbhag 30 din ka samay lagne ki ummid kar sakte hain, lekin yah baat par nibhar krta hai ki aap bharat ke kis hisse mein rahate hain.
Will I have to surrender my old voter ID card as I have applied to make corrections in it? / Kya mujhe purane voter ID card ko jama kar dena hoga kyunki maine isme sudar kane ke liye aavedan kiya hai?
Nahi, aapko apne purane voter card ko jama kane ki jarurat nahi hai. prapt karne ke baad sahi vivaran ke sath naye ka upyog karein.
Also See: PAN Card Correction from Online
Bharat mein matdata pahachan ptra prapt karne ke liye aavashyak documents:
Matdata pahachan patra Voter ID card prapt karne ke liye, aapko do prakar ke dastavej ki aavashyakta hoti hai, jinhein aap scan kanke upload kar sakte hain. Ye iss prakar hain.
Ek aayu praman patra (jo niche suchibadh kiya gaya hai):
Birth certificate issued by municipal authorities or district office of the Registrar of Births & Deaths or Baptism certificate
Birth certificate from the school (Government / Recognised) last attended by the applicant or any other recognised educational institution
If a person in class 10 or more pass, he should give a copy of the marksheet of class 10, if it contains date of birth as a proof of date of birth
Marksheet of class 8 if it contains date of birth
Marksheet of class 5 if it contains date of birth
Indian Passport
PAN card
Driving License
Aadhar letter issued by UIDAI
Ek nivas praman dastavej (jaisa niche diya gaya hai)
Current bank passbook / kisan passbook / post office current passbook
Ration card
Indian Passport
Driving License
Income tax assessment order
Latest rent agreement
Latest water / telephone / electricity / gas connection bill for that address, either in the name of the applicant or that of their immediate relatives such as parents
Any post / letter / mail delivered through the Indian Postal Department in the applicant’s name at the address of ordinary residence