Send WhatsApp Message Without Open The App
WhatsApp ka istemaal bahut teji se bad raha hai. hum sabhi photo, message ya koi file bhejne ke liye WhatsApp use karte hain. WhatsApp bhi samay samay par users ke zyada upayogi banana ke liye naye naye feature late rahta hai. iss kadi mein hum aapko badi hi upayogi trick laye hain jisme aapko message bhejane ke liye ek apna WhatsApp open karne ko koi jarurat nahi pedegi.
Iss trick ko karne ke liye aapke smartphone mein Google Assistant hona avashyak hai, yah har android phone mein maujud hota hai, yah trick smartphone mein hi kaam karegi.
Google Assistant ke dwara WhatsApp Message Bhejen
Aap WhatsApp khole bina hi message bhejane ke liye aapko pehale phone ke nichle hisse mein diye gaye beech wale botton par click karein. Jab aap iss botton par click karenge toh Google Assistant khul jayega. Ab aapko Google Assistant se WhatsApp message bhejane ke liye kahna hoga. Google Assistant aapse puchhega ki aap kise message bhejna chahte hain, aapko uska naam batana hoga.
Apne contact walo ko bhej sakenge Message
Jaise hi aap naam batayenge toh aapki mobile screen par unka contact show karega. Ab Google Assistant aapse puchhega ki aap kya message bhejna chahte hain. Aap jo message bhejna chahein usse bole. Jaise hi aap boleinge toh wah message type ho jayega.
Ab aapse Google Assistant puchhega ki aap iss message ko hi bhejana chahte hain ya usmein koi badlav karna chahte hain. Agar aapke message mein koi change karna nahi to bhejane ke liye bol dein. Yadi message mein koi change hai to bolkar usse badal le.
Aise mein aapka message WhatsApp khole bina hai aapke contact tak pahunch jayega. Aap yadi English mein Google Assistant se baat karte hain toh ya trick acchi tarike se kaam karegi, hindi mein yah thodi pareshan karegi.
Istarah bhejana hai apna message
Sabe pehle Google Assistant khole red color keg ole mein Google Assistant ke botton ko photo mein dikhaye anusar ab aap WhatsApp message bhejein.
Ab aapke samne mobile screen par kuch aisi image aayegi, jismein aapko yah bolna hai ki aap kise message bhejana chahe hain.
Iske baad aapke contact details ka naam aur number aa jayega, jisse aap message bhejna chahte hai.
Yaha par aap jo message bhejna chahte hain, usse bole. Google Assistant bejane se pehle aapse confirm karega ki aap yahi message bejna chahte hain ya ismein koi badlaw karna chahte hain. Agar koi change nahi karna chahte hain toh message bhejne bol dein.
Aise hi aap WhatsApp ko bina khole hi Contact Details mein add logon ko message bhej sakte hain.