Aajkal har kisi ka apna bank account zaroor hota hai aur apne bank account mein bachat ke liye samay-samay par account mein paisa jama karte hain. Magar jab jarurat hoti hai to hum apne bank account se apne zarurat ke hisab se paisa nikalte hain. Paise nikalne ke bahut saare method hote hain hai. iss mein se ek hai ATM/Debit Card yah sabse aasan tarika hota hai paisa nikalne ka lekin utana hi suraksa ke lihaj se ATM use karna hamare liye musibbat bhi ban jata hai.
Humein ATM/Debit Card ko bahut hi surakshit rup se upayog karna hota hai. ATM/Debit Card ke jab hum use karte hain to uske sath ek PIN number daal na padta hai agar yah PIN nahi daalte hain to humein paisa reseave nahi hota hai aur yah PIN number hamre liye bahut ho impotante hota hai yadi yah PIN kisi ke hath lag jaye to Humara paisa ek scoand mein gayab ho sakta hai. apne account ki Suraksha ke liye humein yah PIN number badalte rahna chahiye. Aaj hum iss post mein isi PIN ke bare mein baat kareinge.
Yadi aap ATM/Debit Card ko use karte bahut din ho gaya hai ya phir aapko naya ATM/Debit Card mila hai to isska PIN number banana ya badalna bahut hi zaroori hai. iske liye bahut saare option maujud hain. Magar hum aapko kuch aasan takike batayenge jisse aapko zyada pareshani na ho. Ismein hum SBI bank ke ATM card ke PIN number Generate ya badalna batayenge. to aaiye jante hain. Wo kaun kaun se tarike hain.
ATM Machine Se ATM card Ka PIN badalna ya Genarete Karna
➧Apna PIN badalne ya generate karne ke liye aap najadik ke kisi bhi ATM Machine mein jayen aur apne card ko swipe karein. Swipe karne ke baad aapke samne bahut se option honge inmein se aapko Select Pin Generation par click karna hai. yadi Pin Generation ka option kaam nahi kar raha hai to aap Quick Cash par click karke Pin Change ke option mein jana hoga.
➧Ab aapke samne dusra screen open hoga jisme apna account ka number daalne ko bola jayega. Apna account number daalne ke baad conform ke button par click karein.
➧Iske baad aapke registered mobile number yani jo mobile number aapke bank account se link kiya hua hai. uss number ko daalne ka option aayega. Uspar apna mobile number daal dein aur confirm ke button par click karein.
➧Ab aapke samne ATM screen par ek message likha aayega jispar bola jayega ki aapke registered mobile number par ek OTP (One Time Password) bheja jayega jisko aap confirm kar dein.
➧Ab aapke registered mobile number par OTP aa jayega. Dayan rahe yah OTP (One Time Password) code 2 din ke liye manya hota hai. ab aap kisi bhi SBI ATM machine se iss OTP dwara apne ATM Card ka PIN number generate ya badal sakte hain.
➧Iske baad aap dobara se apne ATM Card ko swipe kare aur banking option par click karein aur wo OTP dale ab aapke samne Pin Change ka option aayega ispar click karein.
➧Aapko apna naya PIN dalne ko bola jayega. Usmein apna manpasand PIN inter kar dein aur confirm button mein click kar dein. Iske baad aapka PIN generate ho jayega.
Internet Banking Ke dwara ATM/ Debit Card ka PIN badalna
Yadi aap SBI ka internet banking ka use karte hai. to iske dwara bhi aap aasani se apne ATM Card ka PIN badal sakte hain ya generate kar sakte hain. Iske liye aapko bank mein ya kisi ATM Machine mein jane ki jarurat nahi padegi.
➧Intarnet benking ke dwara PIN badalne ke liye aapko sabse pahale SBI ke netbanking website www.onlinesbi.com par jaye uske baad apna user ID aur password inter karke login ho jayen
➧Ab aapke samne aapka dasbord khul jayega. Ismein aapko upar ki or e-Services option par click kar ke jana hai.
➧Iske baad ATM Card Services ka page open hoga ismein option honge Block your ATM Card, Activate New Atm Card, Generate New ATM PIN option aayega. Aap ATM PIN Generation par click karein.
➧Iske baad aapke samne do option open hoga Using One Time Passwor (OTP), Using Profile Password. Ismein se aap Using One Time Passwor (OTP) option ko chune. Isko chunane ke baad aapke registered Mobile Number par ek OTP aayega.
➧Ab aap mobile mein aaye OTP ko daal kar Submit par click karein.
➧Iske baad aapko apna account number select karna hai aur phir wah Debit Card select karna hai jismein PIN generate ya badalna hai. ab aap Continue button par click karein.
Ab aapko 2 digit dalne ko kaha jayega ya 2 digit aapke dawara banye ja rahe naye PIN ka pehala do digit hoga aur baaki ke 2 digit aapke resisted Mobile Number par Bank dawara bhej diya jayega.
➧Iske baad aapko wah chaar digit ka PIN ko dalne ke liye kaha jayega, jismein 2 ank aapke dawara banye gaye honge aur baaki 2 ank aapko mobile mein prapt hoga. Charon digit ko daalne ke baad confirm ke button par click kar dein.
Ab aapka naya PIN puri tarah se ban gaya hai.
SMS ke dawara SBI ATM Card ka PIN badalna
Apne ATM/Debit Card ka PIN Generate aap SMS ke dawara bhi kar sakte hain. Iske liye aapko SBI dawara diye gaye number par SMS karna hoga.
Note: Aapko isko karne ke liye kisi ATM machine par jana hoga.
Sabse pehale apne resisted Mobile Number se ek message bhejna hoga kuch iss tarah se PIN<SPACE<CCCC<AAAA to 567676 . ismein PIN – yaha par aapko bade akshar mein PIN likhan hai. CCCC – yshan par aap aapne ATM ya Debit Card ke Last 4 digit daalna hai. AAAA – yahan par Account number ke last 4 digit daalna hai.
➧Message bhejne ke baad aapke mobile number par OTP aayega. Ab aap ATM machine par wo OTP number daal kar Pin Change ke option par click karke PIN badal le.
Note: PIN change karne ka option ATM/Debit Card dalne ke baad kuch option dikhai deinge usmein se aapko Banking par click karne ke baad Pin change ka option dikhai dega. Koi koi machine mein ATM card dalte yah option nazar aata hai.
IVRS ki madad se SBI ATM Card ka PIN Badalna ya Generate karna
ATM Card ka PIN Badalna ya Generate karne ke liye aap IVRS ka bhi istemaal kar sakte hain. Iske liye aapko apne registered mobile number se niman likhit number par call karna hoga (1800 425 3800 / 1800 1122 11 / 080-26599990).
Ab aapko ATM ya Debit Card PIN change ka option chunna hai. iske baad aapko ATM ya Debit Card ka number aaur apna bank account daalne ke liye kaha jayega. Ye sab daalne ke baad aapko apne registered mobile number par OTP aayega. Ab do din ke bhitar kisi bhi SBI ATM machine mein ja kar pehale bataye gaye tarike ki tarah apna naya PIN Bana le.