Phone ko Unlock Kaise Karein
Lagbhag sabhi smartphone users apne phone ki suraksha ke liye home screen par pin ya pattern wala password istemal kate hain. Aajkal toh smatphone face unlock feature kafi zayada popular ho raha hai. users smartphone kharidate samay face unlock wala phone hi kharidna pasand karte hain. Jahan tak companiyon ki baat karein to aajkal 6 hazar wale phone mein bhi face unlock feature de rahe hain. Taki wo users ko akarsit kar sake.
Smartphone mein lock lagane ke bare mein export ka manana hai ki PIN ya Pattern dono password kathin hona chahiye taki koi aapke phone ko aasani se unlock na kar sake. Kabhi kabhi aise mein apne jo password use kiya tha wo kisi karan bas bhul jate hain. Iss post mein hum aapko lock android smartphone ko unlock kanre ka trick batayenge.
Dusre phone ya computer dawara:
Sabse pehale browser open kare usme https://myaccount.google.com/find-your-phone-guide url type karein aur search karein. Iske bad uss gmail account se login karein jo gmail account uss phone mein hai jiska aap lock kholna chahte hain.
Page open hone ke baad aapke un sabhi smartphone ki list mil jayegi usmeinaapka gmail account login hai. iske baad uss phone ko select karein jismein aap unlock karna chahte hain.
Ab ek aur page khulega usmein lock your phone ka option dikhega. Uspar click karein aur ab naya password ke liye PIN ya Pattern ko dale. Iske baad aapke phone ki home screen ka password badal jayega aur phone bhi unlock ho jayega. Iss tarike mein jis phone ko unlock karna hai usmein internet conection hona jaruri hai.
Google assistant se unlock karna:
Dusra tarika lock phone ko unlock karne ke liye agar aapne apna google assistant pehale se set kiya hai aur aani voice record ki hai aur sath hi unlock with voice ke option ko on kiya hai to aap sirf Ok Google kahkar apna smartphone ko unlock kar sakte hai.