Laptop Me Whatsapp Kaise Chalaye

How to use WhatsApp on Pc or Laptop
 
Laptop Me Whatsapp Kaise Chalaye: Whatsapp duniyan bhar mein lagbhag 1 arab active users ka saath sabse mashur messaging application ban gaya hai. Lagbbhag har OS, IOS, Android, Windows, Symbian jaise store mein WhatsApp application users ke liye upalbh hai. Whatsapp aane ke baad se jo log SMS ka upayog karte the wo bhi usko chhod chuke hain. Wahatsapp ke bare mein sabse achchi baat yah hai ki yah aapko keval message ko bhejane ka option nahi deta hai balki yah aapko photos, video, files aadi bhi ki ko bhejne ki anumati deta hai .
 
Aapko isme SMS jaise message bhejane ke bare mein chinta karne ki jarurat nahi hai. Yadi aapke paas internet  data ya phir Wifi hai to whatsapp aapke dawara bheje gaye message ko turant dusare user ke pahucha dega. Niyamit update ke sath yah behtar aur behatar ho raha hai jise ki users aur zyada iska faida utha sakein. Achchi khabar yah hai ki hum ab hamare PC ya Laptop mein whatsapp messenger application ka upayog aasani se kar sakte hain. Zyadatar log vibhinn karno se Laptop ya PC par whatsapp ka upayog karte hain. Yadi aapko bhi Laptop ya PC mein whatsapp ka upayog karna hai to hum iss post mein step by step aapko batayeinge ki kaise kaise karna saara kuch , to chliye suru karte hain.
 

Laptop Me Whatsapp Kaise Chalaye

Pc ya Laptop mein whatsapp chalane ka sabse aasan tarika hai whatsapp web iss tarah whatsapp chalane ke liye aapke mobile mein whatsapp insttal hona chahiye agar aapke mobile mein pehle se whatsapp insttal nahi hai to kar lein.
1 Uske baad whatsapp ki official https://web.whatsapp.com website par jayen wahan par niche diye gaye photo ke aunusaar page khulega. Iss page mein upar mainu bar mein bahut sare option dekhne ko milenge.
 
whatsweb Laptop Me Whatsapp Kaise Chalaye
 
 
2 Iss page mein sabase pehala jo option dikhai de raha hai wahan par Whatsapp Web likha hua dikh raha hai uss par click kar dein isko click karne ke sath hi aapke samne ek aur page open hoga jaisa ki niche photo mein diya gaya hai
 
whatsappweb2 Laptop Me Whatsapp Kaise Chalaye
 
 
3 iss page mein aapko ek QR code dikhai dega issi QR code ko apne mobile phone se scan karana hai
 
Note: whatsapp ko connect karne se pehale aapko apne mobile phone ko aur apne PC ya Laptop ko ek hi internet connection ya wifi se jodna hoga tabhi aap whatsapp ko PC ya Laptop mein chala sakte hain.
 
4. Iske baad apna mobile phone ko khol kar WhatsApp open karein aur ek baat ye siyor kar le ki mobile aur laptop ka internet connection on kar dein
 
5 Whatapp kholne ke baad upar ke dahine side mein 3 dot dikhai denge jis  tarah niche photo mein dikhaya gaya hai. Uspar click karein usmein se ek chhota page khul kar aayega.
 
Wa Laptop Me Whatsapp Kaise Chalaye
 
 
6 Uss chhote se page mein WhatsApp Web likha hua hoga uss par click kar dein niche diye gaye tasveer ki tarah.
 
WhatsApp Web Laptop Me Whatsapp Kaise Chalaye
 
 
7 Ab aapke mobile phone mein scanner khul jayega iss scanner ko PC ya Laptop mein jo QR Code hai Ke upar le jana hai uske baad turant hi QR code scan ho jayega.
 
Ab aap apne Pc ya Laptop mein whatsApp ka maza le sakate hain aur jitani chahe message, video, photo share aur reactive kar sakte hain.
 
Note: Jab aap ye sab setting kar lenge aur aapka WhatsApp PC ya Laptop mein chalne lagega tab apne mobile ko internet conetion karke hi rakhein varna yadi aap mobile ka internet conection band kar dete hain to aapka laptop mein bhi WhatsApp Band ho jayega.
 
Yadi aako kisi bhi tarike ka praoblam ho raha hai connect karne mein to aap humein zarur niche comment mein likehe.
 
 

Amitesh Raj

नमस्कार दोस्तों, मैं Mr. Amitesh Bedia, Hintwebs वेबसाइट का ओनर और ऑथर भी हूँ, मुझे किसी भी तरह की जानकारी साझा करना बहुत अच्छा लगता है, चाहे वो टेक्नोलॉजी से जुड़ी हो या नॉलेज की बातें या फिर इन्टरनेट से जुड़ी कोई बात हो सिखने और दूसरों को इसे जुड़ी समस्याओं को दूर करना ही मेरा लक्ष्य है.