Kya Hai E-Sim Card Aur Dusre Sim Card Se Kaise Alag Hai

Ab sim card ko bhul jayenge mobile users. Kyonki dursanchar vibhag ne e-sim ke liye disha Nirdes jaari kar di hain. E-sim ke saath hi sim lagaane badalne ki saari smasya bilkul khatam ho jayegi is disha nirdesh ke anusaar saari telecom company e-sim ki anekon subidhayein de sakti hain.

E Sim

Kya Hai E-Sim?

E-sim ko embedded subscriber identity module kaha jata hai. Yah technique software ke jariye kaam karti hai. Filhaal iss technique ka istemaal smartwatch mein kiya jar aha hai. Iss technique ko ab smartphone par upayog kiya jayega, jisse users kewal software ke jariye telecom sewayen le sakenge. Iske alawa ek opretor se dusre opretar mein swich karne mein bhi aasani hogi. Yah ek aisa sim card hoga jo device bord mein lagaya jayega.

How to Activate eSIM in Hindi

Telecom Companyyan Suchna Darz Karengi:

Naye guideline ke anusaar agar users kisi bhi telecom service provider se nya conection leta hai to usse smartphone mein  embedded subscriber identity module yani e-sim daal diya jayega.

Alag se sim lagane ki koi jarurat nahi, e_sim istemaal karne wale users se judi saari suchnayein telecom company apne dataves mein darz kar lengi.

18 E-Sim Milege Ek Users Ko:

Dursanchar vibhag ne sabhi mobile upabhogta ko zyada se zyada 18 e-sim ka upayog karne ki ijajat di hai. Mobile phone ke liye 9 sim ke saath machine tu machine milakar kul 18 sim ke upayog ki ijajat di hai. Yani ki ek user ko kewal adhikatam 18 sim card hi isu ki ja sakengi.

Mobile Ki Battery Life Badh Jayegi:

Software ke madhyam se kaam karne ke karan bartaman mein jo sim hain us sim ke biparit e-sim pryog karne par battery kam khapat hogi. Abhi upabhogta sim lene ke baad ek saptah tak intajar karta hai sim chalu hone ka par e-sim ke aane se wo turant chalu ho jayegaa.