JioCinema ek prasiddh streaming platform hai jise Bharat mein movies aur TV shows ke vibhinn prakar upalabdh hote hai.

Contents
Lekin kuch users JioCinema app ka upyog karte samay error code 8001 ka samna karte hai. Agar aap bhi JioCinema IPL mein samasyaon ka samna kar rahe hai toh iska kuch karan ho sakte hai.
Yeh error content stream karte samay kuch gadbad hone par dikhata hai. Yadi aap JioCinema error 8001 ko thik karne ke liye kuch koshish karna chahte hai toh niche diye gaye kuch steps ko try kar sakte hai.
JioCinema app mein Error 8001 Kaise aata hai?
JioCinema app mein Error 8001 ka kuch karan ho sakte hai. Kuch aam karan hai jaise:
Slow Internet
Server down
Bugs & Glitches
Cache & Cookies
Outdated App Version
JioCinema app not working Error ko thik karne ke liye yeh koshish karein
Apni internet connection ki jaanch karein
JioCinema par content stream karne ke liye aapka internet connection stable aur fast hona chahiye. Aap apne router ya modem ko reset karke phir se content stream kar sakte hai.
VPN ka prayog na karein
JioCinema sirf Bharat mein hi upalabdh hai aur anya deshon mein iska upyog nahi kiya ja sakta hai. Yadi aap Bharat ke bahar hai aur JioCinema par content stream karne ki koshish kar rahe hai toh app kaam nahi karega.
VPN ka prayog aap apni privacy aur security ke liye kar sakte hai. Lekin kuch geo-restricted services jaise ki streaming platforms inka upyog karne wale users ko pehchan lete hai aur unke content tak pahunchne ki anumati nahi dete hai.
Agar aap VPN server par hai toh hum aapko JioCinema app ka upyog karne se pahle VPN ko band karne ki salaah dete hai.
JioCinema App cache aur data ko saaf karein
JioCinema app ke cache aur data ko saaf karne se error 8001 ka samadhan ho sakta hai. Iske liye, apne Android device ke Settings app mein jayein, phir Apps & notifications > JioCinema > Storage & cache mein jayein. Phir, Clear cache aur Clear data par click karein.
JioCinema app ko update karein
JioCinema app ka latest version upyog karein. Agar nahi hai toh Google Play Store ya App Store se app ko update karein.
JioCinema App ko Force Close karke restart kare
Yadi upar bataye gaye tarikon se bhi app me error aa raha hai to niche batye gaye tarike ko kare.
Apne JioCinema app icon par tap karen aur thodi der press karke rakhe. phir aapko Force Stop, Clear Case aadi option milenge. aap Force Stop option par clik kare aur phir se app ko dobara chalaye.
Agar aapko icon ko long press karne par Force Stop option nahi milta hai to aap iss option ko Smartphone Setting mein jakar bhi kar sakte hain.
Mobile ko Restart kare
Iss tarike ko bhi apna sakte hain ismein aapko apne mobile phone ko restart karna hai aur phir se JioCinema app ko chalu kare.
App ko uninstall kake reinstall kare
Agar aap kafi paresha hai aur upar ke koi tarike kaam nahi kar rahe hain to app ek baar JioCinema app ko uninstall kar dein. phir se Google Play Store ya App Store mein jakar dobara JioCinema app ko install kare.