JIO Group Talk App Feature | जाने क्या हैं जिओ ग्रुप टॉक एप के फीचर

JIO Group Talk App Feature

 JIO Group Talk App Feature

Jio Group Talk App Feature: Reliance Jio users ke liye naya app laya hai. jisse users Volte mein group conference call kar sakenge. Reliance Jio ke iss naye app ka naam Jio Group Talk rakha hai. iss app ki madad se users ek baar mein 10 logon ke sath baat kar sakeinge. Isme lecture mode ke alawe kai upayogi feature ke saath aata hai. yah app abhi trail version mein hai. jald hi Jio Group Talk app ko users ke liye official lunch kiya jayega. Yah app HD voice calling ko support karta hai aur yah unn mobile phone ke liye hai jisme jio ka sim itemaal hota hai.
Jio Group Talk iss waqt android device ke liye hi upalabh hai. abhi iOS users ke liye isse upalabh nahi kiya gaya hai. App ki listing se Jahir hai ki yah trial version hai. isme abhi saare feature nahi liye gaye hain. Yadi aapke pass JIO sim hai to iska istemaal android mobile par kar sakte hain.
 

Jio Group Talk Conference Calling App 

Aap Jio Group Talk app ko Google Play Store se download karenge. Aapko JIO number istemaal karke OTP ke jariye verification karna padega. Ek baar registration ki kriya puri hone ke baad aap iss app ka istemaal kar sakte hain.
Jio Group Talk App jio users ke liye vishes prakar ka One Touch Multi-Party Calling Application hai. users ek saath 10 logon ko call ka sakte hain. Issme Conference call schedule  karne ki bhi suvidha hai. jiske dawara aap ek sath 10 logon ko call kar payenge. Ek ek users ko add karni ki pareshani se chhutkara mil jayega.
 

JGT App Lecture mode

Call karne wala conference call ke beech mein kisi bhi dusre user ko call ka hissa bana sakta hai ya usko hata sakata hai. iske saath hi Jio Group Talk App mein Lecture mode diya gaya hai call ke dauran koi ek waykti bolega to bakiyon ko sunana hoga. Jio Group Talk mein abhi voice calling ka feature laya gaya hai. baad mein video calling aur chating ki bhi suvidha mil sakegi.