Jio GigaFiber Plans, Registration & Price

Reliance Jio GigaFiber Plans BrodBand service bharatiya bazar mein utarne ke liye taiyar hai. Reliance Jio ne iski ghosna kar di hai, company ne iske liye registration bhi shuru kar diye hain.

Jio GigaFiber Plans, Registration, Price

5 September ko Jio Giga Fiber ko official roop se lunch kiya jayega. JioGigaFiber ke plan ki jankari pehle hi samne aa chuki hai. Jio Fiber ke plan ki range 700-10 hazar rupaye tak hogi.

Jio GigaFiber Plans – Registration – Price

Yadi aap bhi Jio GigaFiber ka connection lene ka soch rahe hain, toh iss post mein hum aapko isse judi saari jaankari dene ja rahe hain.

Iss post mein hum aapko how to get jio gigafiber, jio gigafiber registration, jio gigafiber plans ke saath hi jio gigafiber benefit aur free services ke baare mein batayenge.

Jio GigaFiber kya Hai / What is Jio GigaFiber?

Jio GigaFiber ek FTTH (fibre to the home) service hai jiske jariye reliance apne gigafiber users ko 100 mbps de lekar 1Gbps tak ki speed wale internet connection ke sath smart home solution provide karne wala hai.

Iss internet speed mein aap 4k video, online gaming aur smart home jaisi subidha bina kisi dubidha ke chala sakenge.

Company ne Jio GigaFiber ki suchna 5 july ko diya tha aur registration 15 August 2018 se shuru ho gaye the.

Aapke shahar Jio GigaFiber pahuncha ki nahi aise check karein

Jio GigaFiber aapke shahar aur ilake tak pahucha hai ya nahi iska pata lagane ke liye aapko Jio ki website par jaana hoga. Wahan apne naam ke sath apni sabhi details ko register karein.

Registration ki prakiriya pura hone ke baad website aapko apne shahar mein Jio GigaFiber service ki upalabhta ki puri jankari de degi.

Jio GigaFiber Plans

Jio Giga Fiber aapke ghar mein lagwane se pehle iske plans ki puri jankari honi bahut aavashyak hai. tabhi toh aap apne jarurat ke hisab se ek perfect Jio GigaFiber Plan le sakein. Toh aaye jante hain Jio GigaFiber ke plans ke baare mein

  1. 700 rupaye ka plan: Jio GigaFiber plan 700 rupaye se shuru hota hai. iss plan mein aap landline se free unlimited calling, 100mbps internet speed ke sath HD channel ka lupt utha sakte hain.
  2. 10 hazaar rupaye wala plan: iska dusra plan 10 hazaar ka hai. ismein aapko 1GB prati second ki speed milega. Iske sath hi jio home TV aur nayi movie release ke sath ghar baithe dekh sakte hain.
  3. Forever ya Welcome Plan: Jio Giga Fiber ke welcome plan mein high speed internet aur anya subidha toh milega hi. Saath hi 4k TV aur 4k set-up box diya jayega. Iss plan ke baare mein puri jankari company dwara nahi di gayi hai.

To aapko pata chal gaya ki Jio GigaFiber Plan kya kya upalabdh hain, ismein se kisi bhi plans ko aap chun sakte hain.

Jio Gigafiber Registration

Jio GigaFiber registration karne ki puri jankari step by step niche di gayi hain, isliye isse achhi tarah se padhein.

Jio GigaFiber apne ghar mein lagawane ke liye sabse pehle registration karna padta hai. registration ke liye Jio giga fiber official website mein jaana hai.

  1. Sabse pehle aapko https://gigafiber.jio.com/registration par jaana hai.
  2. Yaha aapko apna address pata dalna hoga. Aap apna home address ya work address daalen aur confirm kar dein.
  3. Ab aapko apne details dalne honge. Jahan aapko apna naam, mobile number aur e-mail id Danni hogi. Ye details dalne ke baad aap OTP generate kar sakenge.
  4. Iske baad apne mobile par aaya OTP dalen aur Verify OTP par click karein.
  5. Ab aapke samne jo page khulega, usmein yadi aap kisi aur jagah par Gigafiber lagwana chahte hon toh wah address dalein. Nahi to click karke aage badhein. Ant mein aapke samne kuch ye details aayega aur aapka registration pura ho jayega.

Ab jab bhi aapke location mein installation process shuru hoga, aapke mobile number par contact kiya jayega.

Jio GigaFiber Customer Care Number

Yadi Jio Giga Fiber se judi koi bhi jankari leni ho ya koi sawal ho iske liye company ki taraf se helpline number jari kiya gaya hai. aap isme call karke puri jankari le sakte hain. Ye number hai 1800-896-9999

Iss number mein call karke aap koi bhi sawal puchh sakte hain. Ye bilkul free hai.

Also See:

  1. Jiofi Password Change
  2. JIO FULL FORM
  3. JIO Group Talk App Feature
  4. How to Port Mobile Number to JIO

Amitesh Raj

नमस्कार दोस्तों, मैं Mr. Amitesh Bedia, Hintwebs वेबसाइट का ओनर और ऑथर भी हूँ, मुझे किसी भी तरह की जानकारी साझा करना बहुत अच्छा लगता है, चाहे वो टेक्नोलॉजी से जुड़ी हो या नॉलेज की बातें या फिर इन्टरनेट से जुड़ी कोई बात हो सिखने और दूसरों को इसे जुड़ी समस्याओं को दूर करना ही मेरा लक्ष्य है.