Iss post mein hum baat karenge ICICI Bank pre-approve loan offer ko kaise check karna hai. Agar aap ek ICICI Bank ke customer hai aur dekhna chahte hain ki kya aapke account mein koi loan offer hai ya nahi toh aage padhiye ICICI Bank pre-approve loan offer kaise check karein.
Bahut baar ICICI Bank ke customers personal loan, car loan, two wheeler loan, etc. lena chahte hain, lekin unhe yeh pata nahi hota hai ki ICICI Bank account mein pre-approve loan offer check kaise karein. Isliye is article mein hum ICICI Bank loan offer check karne ke process par baat karenge.
ICICI Bank pre-approve loan offer check karne ka tarika
ICICI Bank pre-approve loan offer check karne ke liye aapko ICICI Bank mobile banking application mein register karna hoga. Agar aapne pahle se hi iMobile app mein register kiya hai toh niche diye gaye steps ko follow kijiye.
Step 1: iMobile application mein jaaye aur apne MPIN ya fingerprint ka upyog karke apne account mein login kijiye.
Step 2: Account mein login karne ke baad aapke samne account ka dashboard hoga. Is dashboard mein aapko do icons dikhenge ‘Loans’ aur ‘Pre-approve loans/offer’. Inn do mein se kisi ek par click kijiye.
Step 3: Agar aapke account mein personal loan offer, two wheeler loan offer, home loan offer etc. hai toh offer ko avail karne ke liye ‘Avail Now’ tab par click kijiye.
Step 4: Aapko loan offer amount, monthly instalment, repayment tenure, interest, processing fee, interest percentage, final amount, etc. dikhayi denge. Agar aap loan lena chahte hain toh ‘Proceed’ par click kijiye aur process complete kijiye.