How to Transfer IRCTC Train Ticket to Someone Else

How to Transfer IRCTC Train Ticket

 

How to Transfer IRCTC Train Ticket to Someone Else

 
Indian railway Catering and Tourism Corporations (IRCTC) mein online ticket aapne jarur book karwaya hoga. Ticket book karte samay aksar galtiyan bhi ho jati hain toh aise main aake paas ticket cancel karne ke vajay koi option nahi hota. Aapko bata den IRCTC ken aye niyamo me anusaar ab aap apna book kiya ticket cancel karne ke bajay transfer bhi kar sakte hain. Isme dhyam dene wali baat hai ki iss seva ka istemaal koi vayakti ek baar hi kar sakta hai. Iss service ka istemal kaise karein aaye jaante hain.
Iss tsrah badlen passenger ka naam
# sabse pehle ticket ka print out nikal len
# apne sabe nikatvarti railway station mein jaaye
# jiss vayakti ko ticket transfer karna hai uska original ID proof sath le  jayen
# counter officer se ticket par passenger ka naam badane ko kahein
Ticket Family member ko bhi transfer kar sakte hain
IRCTC ke naye niyam ke anusaar ab aap apne family members ko ticket transfer kar sakte hain. Iske liye aap ticket ke print out ko lekar nikatvarti Reservation counter mein jana hoga. apna ID proof dikhayen aur jiss vayakti ko aap apna ticket transfer karna chahte hain unse blood relation ka proof bhi aapko dikhana hoga. Iske baad counter officer aapko ticket transfer kar dega.

close