How to Port Mobile Number to JIO | Port to JIO
Abhi telecom opretor ke beech apne user bes ko banaye rakhne ke liye badhiyan se badiyan recharge plans ke sath data offers dene ki hod lagi hui hai. iska pura faida users ko hota hai kam kimat mein adhik internet data, free calls, iske alawe companies ke digital apps jaise Vodaphone play, JIO Apps aur My Airtel Apps aadi ka free mein use karne ko mil jata hai. issi beech users port ko lekar bhi uljhe rahte hain kabhi port to jio mein to kai anya companies mein port kara rahe hain.
Yadi ki mobile phone mein network hi nahi ho to itane saare free data and service ka kya use. Jahan tak companies users ke liye data se lubhane ka tarah tarah se prayas kar rahi hain wahin users zyadatar network nahi hone ki samasya se pareshan rahte hain. Network thik thang se nahi hone ki wajah se mobile users pareshan hokar ek company se dusre company mein port majburan kar hi lete hain.
Kisi bhi mobile number ko port karana utana mushkil nahi hai lekin kabhi kabhi users ko sahi tarika pata na hone ke karan pareshani ka samna karna padta hai. iss post mein hum aapko aasan tarike se kisi bhi prepad ya postpad mobile number ko port to jio kaise karna hai bata rahe hain.
Iss tarike se karein kisi bhi Mobile number ko Jio mein port
1 Sabse pehle Mobile Phone mein message box open karein aur yahan new message ke liye tap karein.
2 Ab yaha bade aksharon mein PORT type karein aur space dekar apna mobile number type karein.
3 Iss message ko 1900 par bhej dein
4 Message ko bhejane ke baad aapko ek Unic Porting Code milega isko UPC kaha jata hai, code ke niche expire date likhi hogi.
5 Ab iss Code ko kisi bhi najadiki Jio store ya reliance digital store mein le jayein. Mobile number ko port karne ke liye aapko address proof, ID proof aur Jio connection ke digital KYC process ke liye aadhar card le jana hai.
6 Yadi aap postpaid number ko port karna hai toh pichhle saare bills jama karne honge aur Mobile Number Port hone mein 7 din ka samay lagega.
Tag: port jio to airtel, port to jio 4g, port to jio online, port to reliance jio, how to port to jio from bsnl