How to Permanently Delete Instagram Account

how to delete instagram account

 

How to delete Instagram Account

Aajkal lagbhag sabhi log Instagram ka use karte hain, Instagram bahut kam samay mein zayada popular hone wali app hai, ye to sabhi ko pata hai. Yah app photo shareing ke liye banaya gaya hai, jisme aap apna profile bana kar wahan par photo share kar sakte hain. Ab to photo ke sath hi video bhi share kar sakte hai iss app mein, lekin iss post mein hum aapko Instagaram account kaise delete karte hai ye batayenge.
kyonki kai baar akasar aisa hota hai ki koi app chala rahe hote hain, lekin baad mein uss app ko delete ya deactive karane ka padta hai, aur hum internet mein search karte hai ki how to delete Instagram account ya delete Instagram ya to delete Instagram account permanently iss tarah se magar ko accha post nahi mita hai, lekin aaj hum bataayenge ki Instagram Account Deactivate ya phir instagram account permanently kaise karna hai. to aaiye aapko batate hai ya kaise karna hai.
Agar aap Instagram Account Delete karna chahte hain to Instagram aapko do option deta hai, pehla ye ki ya to aap Account Permsnrntly Delete kar sakte hain ya phir aap Account temporarily delete kar sakte hain.
Yah aap pehle diside kar le ki aap hamesha ke liye Instagram par account delete karna chahte hain ya kewal kuch samay ke liye. 

Instagram Account Delete kaise karein

Jaisa ki upar humne bataya ki aap Instagram ko do tarah se delete kar sakte hain. Isliye niche aapko do method bataya ja raha hai, aapko jo method ki jarurat hai uss method ko apna sakte hain.

Instagram Account Temporarily Delete

Agar aap apne Account ko kuch dino ke liye delete karna chahte hain aur ussi account ko baad mein use karna chahte hain to aap kuch sama ke liye Deactivate kar sakte hai. uske liye karna kya hai hum step by step Insragram Account Temporarily Delete karna bata rahe hain.
Pehle aap apne mobile ya computer par koi bhi broeser ko open kare Instagram.com khol le aur apne Instagram Account ko login karein.

Insragram Account Temporarily Delete

 

Login karne ke baad profile icon par click kerein jaisa ki niche tasveer mein dikhaya gaya hai uske baad Edit Profile botton par click kerein.

Insragram Account Temporarily Delete

 

Ab aapke samne ek naya page open hoga niche diye gaye tasveer ki tarah iss page mein sabse niche aapko ek option milega  Temporarily Disable My Account uspar click karein.
Insragram Account Temporarily Delete
Iske baad aapke samne ek aur page khulega jismein aapko reason puchha jayega ki Why are you deleting your Account usmein se kisi ek option ko select karein.
Insragram Account Temporarily Delete
Thik uske niche aapka apna Instagram Password dalne ka option aayega uss par apna Password dale aur nche likhe Temporarily Disable My Account par click kara dein.
Insragram Account Temporarily Delete
To iss tarah se aapka Instagram par Account Temporarily Delete ho jayega. Agar aap yah step follow karte hain to aap kabhi bhi apne account ko phir se Recover kar skate hain, aur jab lage ki humein phir se Instagram Account active karana hai to login karke kar sakte hain.

Instagram Account Permanently Delete

Agar aap apane Instagram Account ko Permsnrntly Delete karna chahte hain to hum aapko batate hain kaise karna hai lekin ek baar remove instagram account karte hain to uss account ke followers, likes, comments ko recovery nahi kar sakte hain.
1 Instagram delete karne ke liye option kewal browser mein show hota hai, Instagram App mein nahi Account delete karne ke liye mobile ya computer ka istemaal karein.
Instagram Account Permsnrntly Delete
2 Sabse pehale Instagram ke liye diye gaye iss link par click Karen aur open karein iss pege par aapko Login Id aur Password dalna hoga. Aapko  Jis Instagram ID ko delete karna hai uska  Login Id aur Password dalkar login karein.
Instagram Account Permsnrntly Delete
3 Isske baad page open hoga jiss par Why are deleting your account iss option par koi ek Reason select karein.
Instagram Account Permsnrntly Delete
4 Permanently Delete My Account ka option show hoga aur uspar click karne par aapaka Instagram Account Permanently Delete ho jayega.
Amitesh Raj

नमस्कार दोस्तों, मैं Mr. Amitesh Bedia, Hintwebs वेबसाइट का ओनर और ऑथर भी हूँ, मुझे किसी भी तरह की जानकारी साझा करना बहुत अच्छा लगता है, चाहे वो टेक्नोलॉजी से जुड़ी हो या नॉलेज की बातें या फिर इन्टरनेट से जुड़ी कोई बात हो सिखने और दूसरों को इसे जुड़ी समस्याओं को दूर करना ही मेरा लक्ष्य है.