Aaj ke technology aur dijital duniya mein har koi aadmi isse achhuta nahi hai. har aadmi dino din isse judta ja raha hai chahe wo gaon se bilog karta ho ya phir shahar se ya phir bachcha ho bujurg ya mahilayen ho. Iss dijital duniya mein sabse zayada use kaiya jane wala koi platform ho wo hai social media isse mein kuch social media platform to itna logon ke liye zaroori ho gaya hai ki iske bina life adhuri si lagne lagti hai.
How to Delete Facebook Account Permanently
Iss mein se ek hai facebook ye ek aisa social media platform hai jahan har vayakti juda hua hai. aaj ke samay mein har vayakti ke paas apna facebook account hai aur aise hi har roj kitane naye account bante hain. Aur har roj ismein time bitate hain jismein wo post share karna like karna apni post daalna kisi ke post mein comment karna aadi bahut saare features facbook mein milte hai. maga hum yahan baat karenge in sab se hat ke ki apne facebook account ko delete kaise kare(How to Delete Facebook Account Permanently).
Yadi aap apne facebook account ko hamesha ke liye delete karna chahte hain to hum iss post mein aapko saari baate step by step batayenge facebook account ko delete kaise kare karna hai.
Lekin baat yahan aati hai ki aakhir hum facebook account delet kyun karna chahte hain. Isske bahut saare kaaran ho sakte hain. Ho sakta hai aapke paas ek se zyada facebook ID hon jinhein aap kuch ko delete karna chahte honge ya facebook ke notification aapko pareshan karte honge, aisa bhi ho sakta hai ki fb par bahut zyada time bitane lagte hai jiske kaarn wo aapna facebook ID delete karna chahte honge. Aise hi bahut saare reasons ho sakte hain khair reasons koi bhi ho yadi apko lage ki facebook account ko delete karna hai to yah post aapke liye hai ismein hum aapko saari baate detail mein samjhayenge.
Facebook Account Deactive ya Permanently Delete karna hai
Ab yahan baat aati hai ki aapko apna facebook account Deactive karna hai ya Permanently Delete karna inn do tarah se hum apne facebook ID ko delete kar sakte hai ya gayab kar sakte hain. Yaha pehale aapko bata dete hain ki ye do chizein kya hain . agar aap apne fb ID ko Deactivate karate hain to isse koi bhi person aapko facebook par dekh nahi payega jaiseki apke photo, video aur aapke saare post ko koi nahi dekh payega jab tak ki aap apne account ko phir se login nahi karte hain yani ki apne account ko active nahi karate hain.
Yadi fb account ko deactive karte hain to phir se aap usko login karte hain to apka account dobara active ho jata hain. Isko karne ka ek hi reason ho sakta hai yadi aapko ko koi facebook par paresan kar raha hai ya koi galat use kar raha hai to uske liye ye option thik rahega ki kuch dino ke liye apna fb account deactive kar dein. Isse koi bhi parson aapka Fb account access nahi kar payega.
Facebook Account Ko Deactivate Kaise karein
Facebook ID ko deactivate karne ke liye sabse pehale apne facebook account par login ho jayein. Iske baad aapke account ke home page par dahine side upar ki aur arrow ka botton dikhega upar click kare. Ek chota sa box khulega jismein niche ki aur Settings likha hua dikhai dega jaise ki niche tasveer mein diya gaya hai uss setting likhe par click karein.
Ab agla page open hoga jismein left side par bahut sare settings likhe honge magar aapko sabse pehale jo Genaral likha hua hoga usmein click karna hai. ek page khulega General Account Settings ka uss page mein bahut saare option dikhai denge aapko Manage account ke right sige mein ek Edit ka botton hoga uss par click karna hai.
Manage account ka page open hoga iss mein sabse niche Deativate your account ka option dikhega uspar click karein.
Ab aage ek security ke liye aapko apna facebook password daalneke liye kaha jayega. Apna password sahi sahi dalne ke baad Continue par click kar dein. Continue par jaise hi click karenge aapke samne Are yo sure you want to deactivate your account wala page khulega ismein kuch jankari bharne honge. Jaisa ki niche tasveer mein bataya gaya hai.
1 Reason for leaving mein aapko bata hoga ki kis wajah se aap account deactivate karna chahte hain. Ismein pehala option this is temporary, I’ll be back, automatically reactivate may account chune.
2 yahan aapko kitane din ke liye apna facebook account deactivate karna chahte hain yahan chune jaise 1 day, 4day, 7day itiyadi. Aap ismein se jitna din select karenge utana din tak deactive rahega aur utana din hone ke bad automatically reactivate ho jayega.
3 yahan aap apna account kyon deativate karna chahte hain iska reason likha sakte hain. Issko aap khaali bhi chhod sakte hai zaroori nahi hai bharna.
4 Ismein aapko apne pages dikheinge aapko edit admins par click karke aap kisi ko bhi apne page ka admin bana sakte hain.
5 Email opt out fb id deactivate hone kae baad bhi koi bhi aapka friend aapko tag kar sakta hai aur group mein add kar sakta hai yadi aap aisa nahi chahte hain to aap chahte hai ki unhein aapaka profile na dikhe to email opt out ke box par tick kardein.
6 sabhi option bharne ke baad deactivate button par click kar dein.
Iss ke baad aapka facebook account deactivate ho jayega ab koi bhi aapke profile ko nahi dekh payega aur jitana din ke liye apne apka id deactivate rahega.
Facebook Account ko Permanently Delete kaise kare
Facebook account permanently delete karne ke liye apne account mein login Karen. Uske baad aap diyegaye iss linkpar click karein. Ab aage ek page khulega uspa sabse niche likhe delete my account button par click karein.
Cllick karne ke baad aur ek page open hoga usmein aapke facebook account ka password dalna hai uske niche chepcha code dikhega usko niche diye gaye box par sahi se daal dein. Phir ok button par click karein.
Ab aapke samane ek message ka box khulega iss message mein likha hai ki aapka account deactivate ho gaya hai aur 14 din tak aap apne fb account ko login karke permanently delete ke request ko cancel kar sakte hain.
Note: 14 din ke baad aapka account puri tarah se delete ho jayega uske baad isko bapas karne karne ka koi tarika nahi hai.
Apne account ko delete hone se cancel karne ke liye aap jab apne account ko login karege to ek message samne aayega. Yadi aap chahein to iss message mein likhe cancel deletion ki button par click karke apne account ko phir se active kar sakte hain.