how to change wifi password | Wifi ka Password kaise badlen

How to Change wifi password


How to Change wifi password | Wifi ka Password kaise badlen 


Iss waqt duniya mein online Security sabhi ke liye badi baat ban chuki hai. sath hi network security ke liye bhi kafi satark rahna pad raha hai. network security ke dwara apne ghar mein lage wi-fi network ko secure kar sakte hain. Yadi aapka wi-fi network secure nahi hai toh hacker aapke IP address ko hack karke aapka nuksaan kar skte hain.
 Apne network ki security ke liye usres ko wifi ka password badte rahna hoga. Wi-fi network ka galat istemal hone se bachne ke liye password badlte rahna jaruri hai isse galat upayog hone ki sambhawana behat kam ho jati hai. yadi aapke ghar mein bhi wi-fi laga hai, toh aap bhi iske password ko har do mahine par badalte rahein. Aap wi-fi password ko badlna nahi chahte hain, toh yahan kuch aasan step bata rahe hain jiske dwara aap apne wi-fi password ko badal kar apni security ko bada skte hain.

 Wi-fi password badlne ka tarika

1 aapko apne ghar ke wi-fi se kisi ek device ko connect rakna hai.
2 iske baad uss device se web browser ko open Karen.
3 browser mein apne router ke Configurations page ko open karein aur TP-Link Router type kar enter karein.
4 iske baad apne router ki setting ka default usersname aur password daalein
5 wireless security option mein jayen.
6 ab yahan password, Passphrase ya Shared ki box dikhega. Inme aapko naya password dalna hai
Note: password badne se pehle router setting ka default users name, model number aur router ka Configurations Url kisi page par likh lein.