How to Add Address on Google Maps
Yadi aap google map mein apna address search karte hain to aapko location dikhai nahi deti hai. iss tarah se jab cab ko ya kisi vayakti ko apne ghar ke address tak pahunchna mushkil ho jata hai. Yadi aap iss prakar ki pareshani ka samna kar chuke hain toh ab se pareshan na hon.
Iss post mein kuch trick batayenge jiske dwara aap apne ghar naam ya address google maps par daal sakenge. Isme google aapke dwara di gayi jankaari ko verify karega. Tab jake isse google map par add kiya jayega. Isme 24 se 48 gante ka samay lag sakta hai.
Google Map Mein Apna Address Add karne ka tarika
1 Sabse pahle google map ko khole aur search here tab par click karein.
2 Ab aapko page par ek option dikhai dega jisme add a missing place likha hua hoga. Isme click Karne par naya page khulega.
3 Iss page mein aapko apne ghar ka naam aur address jaisi details fill karni hogi. Yahan par aap location ko mark bhi karte hain.
4 Ab phone ki location on kate hi google yah location select kar lega.
5 Jankaari ke liye aapko bata dein yahan par location ke sath hi apni dukan ka naam, website, business card aur address ko bhi daal sakte hain.
6 Yadi kisi karan bas aapne galat address type kat diya hai toh your contribution par jakar isse edit kat skate hain.
Google Map Se Paise Kiase Kamaye |
Google Maps Se Parking Space Kaise Khoje |
Google Street View Feature Ka Use Kaise Kare |
How to Add Address on Google Maps |
GOOGLE MAP KE NAYE FEATURE |