Driving Licence Download: Iss post mein hum janege ki tarike se aap apna Driving Licence kaise download kar sakte hai. India mein sabhi parakr ke vahan jaise car, track, bike etc ko chlane ke liye driving license ki aavasyakta hoti hai.
Bina driving license kisi vahan ko chelate hue pakde jate hain. Toh aapko jurmane ke sath-sath saja bhi ho sakti hai.

Sath hi kai baar vahan ko bhi seej kar diya jata hai. isliye kisi bhi vahan ko chalane se pehle hamare paas DL ka hona ati aavashyak hai.
DL Download karne ki jankari step by step iss post mein bataya gaya hai. chahe aapka two wheeler license ho ya four wheeler license ya anya gadiyon ka.
Yadi hamara driving license gum ho jata hai ya kharab ho jata hai toh hum bahut aasan tarike se digital driving license pdf mein download kar skate hain.
Kahin safar par nikale hain aur beech safar mein DL ka jarurat pad jaye toh aap aasani se isse use kar sakte hain.
Toh aaiye jante hain apne mobile se online driving license download kaise Karen aasan tarike se.
Driving License download ke liye aavashyak ceejein
Driving licence download karne ke liye aapke paas Digilocker ka account hona jaruri hai
Jab aap Driving licence download ke liye process mein jayenge toh aapke pass Digilocker mein diye gaye Login ID ya Aadhar number ya phir PIN number chahiye
Online Driving License Download kaise karein
Driving License download karne ke liye aapko kisi special knowledge ki aavashyakta nahi hai.
yah bahut hi aasan tarika hai koi bhi internet ki jaankari rakhne wala aadmi Driving License download kar sakta hai.
Online Driving License download karne ke liye aapke paas Digiloker mein account hona avashyak hai.
Digilocker mein account banana bahut aasan hai ye do minute mein ban jata hai.
Aslo See:
- RC Book Download Online
- भारत में ड्राइविंग लाइसेंस के प्रकार
- DL Status Check Online
- RC Status Check Online Kise karein
- Traffic Rules तोड़ने पर फाइन कितना है
- BS 6 क्या है – जाने बिस्तार से
- Vahan Transfer Ke Naye Niyam
- Gadi ke number se Malik Ka Naam Kiase Pata Kare
Yadi aapne Digiloker mein account nahi banaya hai to pehle bana lijiye phir step by step bataye gaye jankari ke anusar aage badein.
Driving License ka print out nikalne ke liye niche bataye gaye jaankari ko dhyan purbak karein.
- Pehale aap apne mobile phone mein koi bhi browser open kar lein wahan par digilocker.gov.in likhein. Iske aalawa aap iska Android App bhi download kar sakte hain.
- Ab aapke saamne Digilocker ka page open ho jayega, yahan par aapko login ke liye username aur password dalna hoga jo aapne digiloker ka account banate samay dala tha.
- Yadi aapko username aur password se login karne mein pareshani ho rahi hai toh aap apne aashar number se bhi login kar sakte hain. Yadi aap aadhar number se login karna chahte hain to box mein aadhar number dalen, iske baad aapke aadhar se link mobile number par OTP aayega usko dusre box mein dalen verify otp par click Karen.
- Ab aapka Digilocker account open ho jayega, iss page mein bahut saare option honge jimein se aapko ISSUED par click karna hai.
- Iske baad agle page mein jitne bhi document uploaded hoge wo dikheinge, aur bhi document ko dekhne ke liye aapko check partners section ke option par click karna hai.
- Agle page mein Partner Name mein aapko Ministry of Road Transport & Highways Government of India ke option ko select karein. Neeche document type mein Driving License ko select karein.
- Ab aadhar number ke anusar aapka naam pehle hi aa jayega. Neeche diye gaye box mein aap apna Date of Birth, pita/pati ka naam dalen, aur Driving License number bharein sabkuch sahi sahi bharne ke baad Get Document par click karein.
- Jaise hi get document ke option par click kareinge Digital Driving License download hone lagega aapke browser mein download ka option aayega usspar click karein.
- Iske baad save document link par click karein, iss option ko click karne par jab bhi aapko Digital Driving License ki jarurat padegi tab aap bas ek click karne par download kar sakeinge.