DL Status Check: Yadi aap bharatiya sadakon par apne moter vahan ko chalana chahte hain, to aapke pass driving license ka hona bahut zaruri hai.
Motor vahan Act. 1988 ke anusaar apne favorite vahan ke saath driving karne ke liye apna driving license prapt karna anivarya hai.
DL sabse mahatvpurn document mein se ek hai jo aapke pass hona hi chahiye kyonki yah aapko kahin bhi, kabhi bhi jaane ki kanuni swatantrata deta hai.

Magar jaisa ki aap jante hain achhi chijon ko aane mein time lagta hai. aapke Driving License (DL) aane mein samay lag sakta hai.
Yadi aapne pehli baar DL ke liye aavedan kiya hai ya renewal ke liye application bheja hai, to aapke DL status ko kaise dekhe iss post mein aapko puri details se bataya gaya hai.
DL Status ki janch karne se aapko ya samjhne mein madad milti hai ki aapka DL aane mein kitna samay lagne wala hai. yah aapko apne DL ki validity date janch karne ki suvidha bhi deta hai aur DL Status mein aapko agle renewal date ka bhi pata chalta hai.
Aap apne application number ka upayog karke apne DL Application ki status ko aasan tarike se check kar sakte hain.
Driving License Status ko aap offline aur online dono tarikon se check kar sakte hain.
Offline status check karne ke liye aapko apne najadik ke Regional Transport Office mein jaakar apne DL ki stiti ke baare mein pata kar sakte hain. Ya phir online DL Status Check karne ke liye aapko Ministry od Road Transport ki website Sarathi mein visit karna hoga.
Aaj ke samay mein kisi ke pass utna time nahi hota hai ki wo office mein jakar DL Status ke baare mein pata kare. Abhi sbhi ke hath mein mobile phone ho gaya hai jisse wo minton mein apne DL Status Check kar sakte hain.
To aayiye jante hain ki apne DL status Check online kaise karein.
DL Status Check Online
Sabse pehle aap Official Road Transport Authority Website/ Vahan Parivahan Vibhag ke official website mein jaayein. Yah tasalli kar len ki aap official website khole hain kyonki har state ki alag alag website hai jo aapko apne DL status check karne deti hai.
Website par jaane ke baad home page par upar baayein side mein Teen Lines hongi uspar click karein. jaise ki neeche image mein dkhaya gaya hai.

Ab aapke samne ek box khulega jipar aap Driving License Related Services option ko click karein.

Iske baad aapko sarathi.parivahan.govt.in page par le jayega jise aap apna DL Status Check kar skate hain. Iss page main sabse niche aapko apna State ka naam daalna hoga. jis tarah image mein dikhaya gaya hai.


Ab ek naye page mein honge aap iss page mein aakar Apply Online ke option ko click karein.

Apply Online Tab par click karne ke baad ek box khulega jisme bahut sare option hoge unmein se Application Status ke option ko click kerein.

Application Status select karne par ek naye page mein aapko Application Number aur Date of Birth of Birth daalne ko kaha jayega.

Inn details ko daalne ke baad aapke Driving License Status ki puri jaankari screen par dikhai degi.
Also, See:
- Vahan Transfer Ke Naye Niyam
- RC Book Download Online
- भारत में ड्राइविंग लाइसेंस के प्रकार
- Driving Licence Download
- RC Status Check Online Kise karein
- Traffic Rules तोड़ने पर फाइन कितना है
- Gadi ke number se Malik Ka Naam Kiase Pata Kare
Offline Driving License Status Check Kaise karein:
Aap neeche diye gaye prakiriya se gujar kar apne DL Status ko offline jaankari prapt kar sakte hain.
Aapne najadik ke kshtriya parivahan kayalay (RTO) mein jaayein jahan aapne parikshn(Test) diya tha aur RTO Officer se milkar apne DL application ki Status check kar sakte hain
Aapko RTO Officer ko apna application Number ya Driving License number dena hoga aur phir wah aapko apne application ka status batayega.
Diving License Status ke baare mein jaane ke liye tathya
Yah jaanna bahut aavashyak hai kyonki aamtaur par aapke DL ko ek mahine mein aapke DL parikshn ko manjuri dene ke baad aapke pass bheja jata hai.
RTO generally do week mein aapka Driving License bhej deta hai.
DL ke liye apply karne se pehle aapke pass ek Learner’s License hona chahiye, jiske bina aap DL ke liye apply nahi kar sakte.
Ek driving license jaari karne ki tarikh se 20 saal ya 50 saal ki umar tak chalega.
Jab bhi aap Dl renewal ke liye apply karte hain, to aapka expire ho chuke Dl ko rakh liya jata hai aur ussi din aapko ek naya DL jaari kiya jaata hai. yadi aisa nahi hota hai, to aap DL ke liye apply karke DL status ki prakiriya ka palan karke aap naye DL ki Status ko online check kar sakte hain.
Driving License renewal ki status ko check karne ke liye aapko apne application form me upalabdh number enter karni hogi.
Yadi aapka DL chori ho jata hai, ya galti se gir jata hai ya kharab ho jaata hai, to aap naye License ke liye application dekar ya nikatam RTO Office mein jakar ussi ke liye form prapt karke Duplicate Driving License prapt kar sakte hain.
Aamtaur par naye License jaari karne mein original license prapt karne kit ulna mein adhik samy nahi lagta hai. duplicate DL jaari karne ka samay alag-alag State mein alag- alag hota hai. lekin phir bhi, yadi aapko lagta hai ki bahut samay beet chukka hai, to aap apne duplicate Dl ka status check apne najdiki RTO mein jakr ya online DL status check kar sakte hain.
Bharat mein jaari ek International driving license ko duniya bhar ke deshon dawara svikar kiya jata hai. yadi aap ek international yatra ki yjana bana rahe hain, toh ek mahine pehle driving license ke liye apply karein. Sabhi aaupchariktaon ko pura krne par, aap apne International driving license status ko online check kar sakte hain.
Driving License aamtaur par aapke register pate par Dak Post ke dawara bheja jata hai. to yah sunishchit karein ki koi aisa vayakti hai jo aaki aur se aaka DL le skta hai. aapke DL ko lete waqt uss vayakti ke pass valid ID proof hona chahiye aur aake sabhi document proof bhi hone chahiye.
Driving License Status FAQs
Q. Kya mein sabhi prakar ke vahan ke liye Driving License ka status check kar sakta hoon?
Ans: Haan, aap sabhi parkar ke vahanon ke liye DL ka status check kar sakte hain
Q. Kis prakar ke vahan ke liye main DL ki status check kar sakta hoon?
Ans: Aap nimn parkar ke vahonon ke liye DL Status dekh sakte hain.
- Commercial Vehicle (Vanijik Vahan)
- Transport Vehicle (Parivahan Vahan)
- Two-wheelers ke sath gear aur bina gear wale
- Four-weelers – dono gear wale aur automatic
Q. Kya koi vishesh samay hai jsike dauran main apne DL Status check online kar satkta hoon?
Ans: Aap din ke kis samay apne DL Status ki jaankari online le sakte hain.
Q. Saarthi website par mujhe apne DL status application ka check karne ke liye apne details jaise naam, mobile number aadi daalen ki aavashyakta hai?
Ans: Nahi aapko apne DL status ki nline jaankari lene ke liye apna naam mobile number dene ki koi aavashyakta nahi hai. aapko keval apna application number aur date of birth daalna hai.
Q. Driving License renewal status check kaise karein?
Ans: Aap Driving License Renewal status check karne ke liye parivahan.gov.in mein jakar online dekh sakte hai ya phir RTO karyalay mein jaakr jaankari le sakte hain.