Chrome Browser Mein Fake Address Bar ko Spot Karne Ka Tarika

Chrome Browser Mein Fake Address Bar ko Spot Karne Ka Tarika | How to spot fake address bar in chrome on android 

 

Chrome Browser Fake Address Bar Kya Hai?

Aaj ke samay mein internet hum sab ki bahut badi zarurat ban gayi hai, har koi internet ka istemal karne laga hai. agar internet ka istemaal sahi se na kiya jay to yah aapke liye khatarnak sabit ho sakta hai. google chrome browser mein suraksha chuk ki wajah se fake address bar banakar fishing humle kiye ja rahe hain. Iss bug ko Jems Fisher naam ke developer ne khoja hai. Jems ne kaha ki yah user browser par niche ki taraf scroll karta hai to chrome mobile app address bar ko kis tarah gayab kar deta hai. Iss method ko Jems ne The Inception Bar naam diya hai. Iss fake address bar display banana ke liye istemal kiya ja sakta hai. yah tab tak gayab nahi hota hai jab tak user dusri website na chal jayega.
Yah user ko asli address bar ko dekhne ki aumati nahi deta hai. Iss bug ke dwara user ki jankari churane ke liye larj scale fishing campaign chalye ja rahe hain. Jems ne yah bataya hai ki kis tarah se koi website fake address bar istemaal kar user ko wahan le jaya jata hai jahan use nahi hona chahiye. Yah sab isliye ho pata hai kyonki chrome version meinjo UI hai wo page scroll down karne sath gayab ho jata hai.

Fake Address baar ko spot karne ka tarika

# User chrome app ko UI dekhane liye force kar sakte hain. Iske liye aapko chrome app open karne ke baad phone ko lock karna hai uske baad unlock karna hai.
# Yah chrome app windows ko reset kar deti hai. isse aap UI ko dekh payenge. Agar URL fake hoga to aapko do URL bar dikhai degi. Jo upar ki taraf hogi wo asli bar hogi. Wahin jo niche ki taraf hogi wo fake bar hogi.
# Agar aap multiple tab par kam kar rahe hain to apko tab icon ke numbers par gaur se dhyan dena hoga. Inception bar hamesha galat number dikhata hai.
# Chrome android mein nayi dark mode ke dawara inception bar ko spot karna behad aasan hai. Jab dark mode  enable hoga to URl bar aur anya UI aliment black mein dikhai dega. Wahin fake URL white mein hoga. Agar aap normal chrome mobile UI theme istemal kar rahe hain to fake URL black mein dikhai dega.
Amitesh Raj

नमस्कार दोस्तों, मैं Mr. Amitesh Bedia, Hintwebs वेबसाइट का ओनर और ऑथर भी हूँ, मुझे किसी भी तरह की जानकारी साझा करना बहुत अच्छा लगता है, चाहे वो टेक्नोलॉजी से जुड़ी हो या नॉलेज की बातें या फिर इन्टरनेट से जुड़ी कोई बात हो सिखने और दूसरों को इसे जुड़ी समस्याओं को दूर करना ही मेरा लक्ष्य है.