Black Friday kya hai?

black friday kya hai Black Friday kya hai

 

Black Friday kya hai ?

Black Friday Christmas shopping session ki unofficial shuruaat ko ingit kara hai videshon mein black Friday varsh ki sabse lokpriya shopping holyday hai. uss din duniya bhar mein bade-bade retailers apne products sale ke tahat bhari chhut dete hain. Khudara vikreta kai aise black Friday deal wallmart aur amazon ko pesh karte hain.

Kya hai Black Friday sale ?

Black Friday sale Indian users ke liye naya hai lekin America mein thanks giving day kea gale din black Friday manaya jata hai. black Friday ke sath hi Christmas ki shopping shuru ho jati hai. iss sale mein kai product par 40 se 60 fisdi ka discount offer kiya jata hai. jankari ke liye aapko bata dein ki iss sale se 2017 mein America mein 53 billion American  dollar ka karobaar hua tha. 2018 mein black Friday 23 november ko manaya jayega.

Black Friday ka faida bharatiya users bhi le sakte hain:

Aapko bata dein ki kai bade American stores apne products ko bharat mein bhi ship karte hain. Bharatiya users ko amazon ke American website se mobile aur electronic sman ki karid par shipment ki wavashtha ki ja rahi hai. iske alawe eBay bhi bharat mein apne product ship karta hai. magar bharatiya users ke liye limited product hi upalabadh honge. Online shopping karne wale users ko product ki delivery ke liye third party shipment service leni hogi.
 

Black Friday Sale Redmi Note 6 Pro

Xiomia ke iss naye smartphone ko 22 november ko bharat mein lunch hoga aur iss phone ko bhi bharat mein Black Friday Sale ke tahat 23 november se upalabh karaya jayega. Iss phone ke mukhya feature ki baat karein to iss smartphone mein  6.26 inch ka full hd plus display diya gaya hai jiska pixel regulation 2280 x 1080 hai. iska aspect ratio 19:9 hai. yah smartphone 1.8 GigHartz Qualcomm Octa-Core Snapdragon 636 processer se les hai. Graphics ke liye ismein adreno 509 GPU diya gaya hai. iski intranal storage 128GB ke micro SD card ke jariye badaya ja sakta hai. Yah phone MIUI 10 par aadharit android 8.1 oreo par kaam karta hai.