Apne SmartPhone se Acchi photography Kaise Karein
Aajkal har smartphone users apna phone kharidate samay uske camera par zyada dhayan dete hain. Acche se accha camera wo chahte hai apne phone mein kyun har kisi ka kwaish hota hai photo khichana. Social media ke popular hone ke baad photo khichne ka chalan bahut zyada badh gaya hai.
Users ke paas accha camera wala smartphone to hota hai lekin camera ka use karna bahut se users ko acche se nahi aata hai. kai baar smartphone mein accha camera hone par bhi camera app ki setting ke karan manchaha photoz nahi mil pate hain. Hum aapko smartphone ke camera ki wo setting batayenge jinhein adjest karke aap bahut acche photos le sakte hain. To aaiye jante hai wo kaun se tricks hain
Portrait Mode Image:
Portrait Mode mein photo click karna users zyada pasand karte hain. Dekha gaya hai ki adhikatar log issi mode mein photo lete hain. Kisi bhi pal ko camera mein kaid karne ke liye log apna smartphone nikale hai aur Portrait Mode select karke photo lete hai hain. Lekin kai baar photo khichne ke baad lagta hai aap photo mein acche nahi dikh rahe hain aur aapka photo aur accha quality ka aa sakta hai to aapko Portrait Mode mein photo khinchne samay inn baaton ko follow karein aapka photo jaroor accha aayega.
1 Portrait Mode mein photo lete samay light yani roshni ka bahut hi zyada mahatwa hai. jiss bhi chiz ko photo khinch rahein hain usko bilkul light ke samne rakhein jahan par uss chiz par pura roshni pade. Accha effect pane ke liye koi light source ke samne rakh sakte hain.
2 Photo lete samay sir ke upar aur chehare ke caron taraf thodi jagah chhodni chahiye. Isse aapke photo ke pichhe ka nazara bhi photo mein aa payega. Iske sath hi aisa karane se photo ka background bhi photo ke sath aasani se mil payega.
3 Aapke smartphone mein auto focus feature hota hai lekin yah zaroori nahi ki wah har baar aapke object par thik se focus kar paye. Acchi aur sarf photo ke liye zaroori hai ki photo kinchte samay aap subject ke chehre par tap kar focus karein.
4 Phone ke camera ke liye diye gaye flash feature ka prayog tabhi karna chahiye jab roshni jaroorat se kam ho. Samanay roshni mein flash ka prayog bilkul nahi karein.
Action Photos:
Humein kai baa raise object ki tasveer leni padti hai jo ek jagah sthir na hokar hilta dulta yani moov kar raha ho. Issi ko hi action photos kahte hain. Action photo lete kai baar tasveerein dhundhli aur out off focus ho jata hai. aise mein kuch baton ka dhayan rakh kar aap acche action photos le sakte hain.
1 kisi hilte dulte object ka photo lete samay aapko dharya rakne ki jaroorat hoti hai. humein object ke moovment ko dhayan mein rakhna chahiye. Sath hi object aur caaron taraf perfect belance ko bana ke photo lena chahiye.
2 lagbhag sabhi smartphone camera mein brast mode hota hai. isliye yah salah di jati hai ki ek sath kai saari tasveer le lein aur phir usmein se man pasand tasveer ko cunkar baki ko delete kar dein.
3 Camera ka pro mode users ko shutter speed thik karne mein madad karta hai. faster shutter speed photo ke dhundhalepan ko kam karta hai. smartphone ke camera app mein pro mode na hone ki sthiti mein aap play store se koi bhi aisa camera app downlode kar sakte hain, jismein aapko aisa mode milta ho.
Landscape Photos:
Jab bhi hum sunder nazara dekhte hain to hum yaad ke taur par uski tasveer khinchne ki sonchte hain. Phone ko seedha na rakhkar tedha karke photolena hi landscape photography kahalati hai. aisi tasveerein khichte samay sabse bada kaam us nazare mein sabhi jaruri chiz jaise lines, curve, shape, aur pattern ko ek hi photo mein lana hota hai. aise mein kuch baton ka dhayan rakhkar aap acche landscape photos khinch sakte hain.
1 Photography karte samay light par puri tarah nirbhar hoti hai. agar aap photography mein laight se khelna jaan gaye to photography karna aapke liye aasan ho jata hai. landscape photo lene ke liye samay ki baat karein to iske liye sabse behatar samay sunrise ke thik pahale ya phir sunset ke thik baad ka samay mana jata hai.
2 Agar photo ka horizontal Straight nahi hai to khubshoorat nahi dikhega. Frem ko Straight rakhne ke liye hum bilt in grid line ke option ka pryog karte hain.
3 Auto mode mein bhi aapke paas image ke expose ko ajest karne ka option hota hai. photo mein khubsoorati lane ke liye brightness ko time ke anusaar ajest karein.
4 Kisi rochak pattern, water, parchhai ya anya kisi nazare ko dekhiye aur sochiye ki hum unein apne photo mein kaise use kar sakte hain.
5 Photo ko ekdam asali wala dikhane ke liye humesah natural light ka hi use karein. Flash light ka kam se kam upayog ya phir na hi karein to behatar hai.