![]() |
Akbar Ke Navratno Ke Naam – GK tricks |
Gk Tricks mein aapka swagat hai. Aaj iss post mein hum aapko mugal smrat akbar ke sambandh mein batayenge. Jaisa ki aap sabko pata hi hoga akhbar ke shaasankaal mein unke 9 ati gunwani darbari the jo akbar ke navratna ke naam se jaane jaate the. Aksar entrance exam mein aise GK question puchhe jaate hain ki akbar ke navratna ke naam batayen aur aise question ko yaad rkhan padta hai kabhi kabhi in ko yaad rakh pana mushkil lagta hai.
Magar inn question answer ko yaad rakhe ka tricks sikh liya jaye to ye aasani se yaad rakhte hai. Hum aapko akbar ke navratna ke naam ko yaad rakne ke liye aasaan se gk tricks le kea aye hai. To aaiye jaante hain wo gk tricks kya hai..
Akbar ke navratna ke naam – GK tricks
1. Birbal – Navratna mein sarwadhik prasidh the. Unka janam kalpi mein 1528 ko braman wans mein hua tha. Birbal bahut hi burdhiman the aur wo akbar ke yudh salaakar the. Bachpan mein unhein maheshdaas ke naam se jaana jate the. Unki chhabi akbar ke darwaar mein ek kushal wakta, kahanikar awam kavi the.
2. Abul Fazal – Sufi Shekh Mubarak ke putara Abul Fazal ka janam 1550 mein hua tha. Itihaas ke gyani Abul Fazal ne Akbar ke shasan kaal ki pramukh ghatanaon ko kalambadh kiya tha. Unki pamukh rachnaon mein Akbarnaama aur aain-a-akbari hain. 1602 mein salim (Jahangir) ke nirdesh par dakshin se aagra ki aur aa rahe Abul Fazal ki raste mein bundle sardar ne hataya kar di.
3. Taansen – Sangeet smrat Taansen ka janam Gwaliyar mein hua tha. Inka bachpan ka naam Ramtanu Pandey tha. Sangeet ka prashansak hone ke naate akbar ne usse apne nau ratanon mein shamil kiya tha. Akabar ne tansen ko kanthbharani bilasi ki upadhi se smmanit kiya tha.
Taansen ki pramukh kritiyan thin- miyan ki todhi, miyan ki malhar, miyan ki saarang, darbaari kanhdha.
4. Raja Bhagwan Das – Bhagwan das aamer ke raja bharaml ka ptara tha. Unki bahan ko Akbar ne vivah kiya tha. Akbar ne usse 5000 ka mansbadar bana diya tha. Usne anek mahatawapurn yudon mein bhag liya tha. Wah ek styavadi, sahasi aur parakrami wakti tha.
5. Abdul Rahim Khane Khana – Yah Akbar ke darwaar mein rajkavi the.
6. Raja Todarmal – Mugalkaal ke swarnim kaal yaani akbar ke daur mein do hinduon Birbal aur Raja ManSingh ka bahut zikr hota hai, par Raja Todarmal ka uss tarah se zikr nahi hota. Halanki we bhi Akbar ke behad karibi the. We unke darwaar mein rajaswa mantri yani diwan the.
7. Raja Manshingh – Raja Mansingh akbar ki sena ke mukhya senapati the. Aisa manyata hai ki hinduon ke prati akbar ke dristi kon ko adhik udaar banana mein maansingh ka mahatawapurna yogdaan tha.
8. Mulla Do Pyaja – Mulla Do Pyaja arab ka rahne waala tha. Humayu ke samay wah bharat aaya tha. Bhojan ke samay do pyaja adhik pasand hone ke karan, Akbar use do pyaja ke naam se sambodhit karta tha. Apni yogyata aur samrat ke prati nistha ke karan wah bhi Akbar ke nauratano mein se ek ban gaya tha.
9 Hakim Hukkam – Hakim Hukkam mugal smrat akbar ka slahakar aur nauratnon mein se ek tha.
To inn akbar ke navratna ke naam ko yaad karne ki GK Tricks ab hum aapko bata rahe hain dhyan se padiyega aur samajhiyega.
Gk Tricks : (BAT BAT mein MDH) iss gk trick ko samjhne keliye dhyan dijiye aaj kal har jagah har kisi ke muh se MDH masala ka Naam to sunahi hoga aapne, tv par har smaya ek budha aadmi MDH Masale ka prachar karta hua Dekha hi hoga aapne, ab issi gk trick ko yaad karna hai (बात बात में MDH) yaad ho gaya. To chaliye ab hum iska meaning smjhate hain.
B – Birbal
A – Abul Fazal
T – Tansen
B – Bhagvandas
A – Abdul Rahim Khane Khana
T – Todarmal
M – Manshingh
D – Do Pyaja Maulla
H – Hakim Hukkam
Ab aap iss tarah se akbar ke navratna ke naam ko aasani se yaad rakh sakte hain aur jab bhi yah question aaye to aap turant iska answer de dein.
Aapko Yah gk tricks kaisi lagi zaroor comment karke batayen aur iss gk tricks ko doston ke saath zaroor share karein taki unko bhi labh ho sake Dhanyabad.