5G Network | Data Hack

Can be Data Hack on 5G
 
 

5G Network | Data Hack

 
5G network ke sambhandh mein kai dave kiye ja rahe hain. Kai smartphone nirmata company iss saal ke Mobile World Congress (MWC) 2019 mein apne 5G support handset taiyar karne mein vayst hain. Inmein Samsung aur Huawei jaisi companyan shamil hain. 5G network aadharit smartphone ke liye kai tech comapaniyon ke beech ek majbut pratispradha hai. lekin iss jigyansa ke beech shodhkataon ne ek samsya vyakt ki hai. shodhkataon ke mutabik hackers 5G network ke aane se users ka data aasani se hack kar sakte hain.
 
Berlin ke Technical University (Switzerland) ETH Zurich  aur Norwich ke Cortex Digital dawara ek shodh jari kiya gaya hai. iss shodh mein kaha gaya hai ki 5G network par upayogkartaon ki gopniyata chinta ka Vishay hai. shodhkataon ne kaha ki phone 5G network par phone ko surakshit rakhne ke tarike ke baad cellular network se connect nahi ho sakta hai.
 
Research mein bataya gaya ki hackers 5G airvev ke jariye aasani se smartphone mein users ka data hack kar sakeinge. Yahi nahi, kai aavashyak aur vaktigat jankari ko hackers dwara upayogkata ke smartphone se access kiya jayega. Shodhkartaon ne maujuda 4G network par iss suraksha ka parikshn kiya hai. Shodhkartaon ka kahna hai ki jab se 5G network aaya hai, hacker ke maamle kafi badh sakte hain.