Can be Data Hack on 5G | Users Ka Data 5G Network Par Ho Sakta Hai Hack
5G network
ke sambhandh mein kai dave kiye ja rahe hain. Kai smartphone nirmata company
iss saal ke Mobile World Congress (MWC) 2019 mein apne 5G support handset
taiyar karne mein vayst hain. Inmein Samsung aur Huawei jaisi companyan shamil
hain. 5G network aadharit smartphone ke liye kai tech comapaniyon ke beech ek
majbut pratispradha hai. lekin iss jigyansa ke beech shodhkataon ne ek samsya
vyakt ki hai. shodhkataon ke mutabik hackers 5G network ke aane se users ka
data aasani se hack kar sakte hain.
Berlin ke Technical
University (Switzerland) ETH Zurich aur Norwich
ke Cortex Digital dawara ek shodh jari kiya gaya hai. iss shodh mein kaha gaya
hai ki 5G network par upayogkartaon ki gopniyata chinta ka Vishay hai.
shodhkataon ne kaha ki phone 5G network par phone ko surakshit rakhne ke tarike
ke baad cellular network se connect nahi ho sakta hai.
Research
mein bataya gaya ki hackers 5G airvev ke jariye aasani se smartphone mein users
ka data hack kar sakeinge. Yahi nahi, kai aavashyak aur vaktigat jankari ko hackers
dwara upayogkata ke smartphone se access kiya jayega. Shodhkartaon ne maujuda
4G network par iss suraksha ka parikshn kiya hai. Shodhkartaon ka kahna hai ki
jab se 5G network aaya hai, hacker ke maamle kafi badh sakte hain.